Monday, December 14, 2020

Sanyam kya hai...ek yudh apney hi viruddh..

 Kuch ajeeb sa phans gaya hun main...


apnay aap ko waqt kay anussar jhonk-kar kahin khud se hi kho sa gaya hun main...


ghumaan hai apney is gray cells par..bas unko best kahan lagaun ki tasmatas mein peechey choot raha hun main...


zamaaney humarey saath kya kar paayega jo hum khud apney saaath apnon ki mauzidgi mein honay detey hain...


ab to bas yeh darr hai ki kahin yeh sab gawan kar bhi kahin aansoon na tapkaoon main...


log apney pyaar ko paaney kay liye kya kuch nahi kartey...aur ek main jo bas waqt ki aandhi main tinkay samet kar santusht ho raha hun...



No comments:

Post a Comment